Shayari

Gujrat Ka Manzar

Khoon Mein Dooba, Ang Ka Paikar Dekha Hai,. 
Zakhmi Zakhmi Ek Kabutar Dekha Hai,. 
Jalti Haweli Jalta Chapar Dekha Hai,. 
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Naam Mera Mazloom Hai, Main Ek Lardki Hoon,. 
Jo Dekha Hai Maine, Wo Batlaati Hoon,. 
GHar Ghar Aag Lagaai Hai, Gaddaron Ne,. 
Izzat Looti Dharm Ke Theke Daaron Ne,. 
Dharti Pe Shaitaano Ka Lashkar Dekha Hai,. 
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Sharm Se Gardan, Dhaamp Rakhi Hai Haiwaano Ne,. 
Aisa Ghinona Khel, Rachaa Insaano Ne,. 
Koi Dareenda, Bhi Na Kare, Wo Kaam Kiya,. 
Maa Ke Pait Ko Cheer Ke Bachcha Maar Diya,.
Masoomo KO Talwaaron Par Dekha Hai,. 
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Aaine Ki Aard Mein Sab Patthar Dil The,. 
Wardi Mein Bhi Masoomon Ke Katil The,. 
Bachche Peer Jawaanon Ke Sar Kaat Diye,. 
Insaano Ke Khoon Se Dariya Baant Diye,. 
Aankhon Ne Laashon Ka Samader Dekha Hai,. 
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Jisne Dekha Manzar Aag Ugalta Hua,. 
Jisne Dekha Ghar waalon KO Jalta Hua,. 
Leke Shole Wo Bhi Nikal Aaye Na Kahin,. 
Rukh Tasweer Ka Ulta Ho Jaaye Na Kahin,. 
Sheeshe Ki Aankhon Mein Patthar Dekha Hai,. 
Haan Maine Gujrat Ka Manzar Dekha Hai,.

Dupatte Ka Kona


kabhi dupatte ka kona bhi nam nahee hota
jahan ho pyar wahan koi gham nahee hota
bichad ke donoN ko isbaat ka yaqeen hua
ke door rehne se bhi pyar kam nahee hota
kisi ke ashk piyo izzaten milenge tumhen
sharab pee ke koi mohtaram nahee hota
hawa ke ek hi jhonke se bujh gaye hote
agar hamare charagon me dam nahee hota
jo apne hisse ki roti bhi baant deta hai
us aadmi ka kabhi rizq kam nahee hota

Pyar Bankar Mujhe Aankho Mein

Pyar Ban Kar Mujhe Aankhon Me Utar Jaane De
Aaj Bigdi Hui Taqdeer Sanwar Jaane De

Main Tujhse Kabhi Alag Rah Ke Na jee Paungi

Ya Mera Saath Nibha Ya Mujhe Mar Jaane De

Meri Saanso Me Udaasi Ki Milaawat Mat Kar
Zindagi Pyar Ke Mausam Me Guzar Jaane De

Roshni Hoon Teri Aankho Ki Mujhe Aankh Me Rakh
Main Hoon Be-Ghar Mujhe Is Ghar Me Thahar Jaane De

Dhoop Hee Dhoop Mere Sar Pe Rahi Hai Ab tak
Chaandni Aaj Meri Chhat Pe Utar Jaane De

Main Hoon Be-Ghar Mujhe Ehsas Ye Us-Waqt Huaa
Usne Jab Mujhse Kaha Ab Mujhe Ghar Jaane De

Tere Gham Mein

Gam Tere Bichhadne Ka Hum Dil Me Sama Lenge
Tu Yaad Jab Aayega Tanhaai Me Ro Lenge

Dil Pyar Ki Raaho'n Me Barbaad Hua Lekin
Barbaad Kiya Kisne Ye Raaz Naa Kholenge

Ab Tarke Ta'Alluk Par Hum Dono Hai Aamada
Wo Hum Se Na Bolenge Hum Unse Na Bolenge

Hum Kuchh Bhi Nahi Unke, Kahte Hai To Kahne do
Paayenge Hami Ko Wo Dil Jab Bhi Apna Tatolenge

Gar Aapki Nendo Ke Sapne Hame Mil Jaaye'n
Hum Jaagti Aankho'n Se Kucnh Der So Lenge

Khamosh Lab Hai Jhuki Hain Palken


ख़ामोश लब हैं झुकी हैं पलकें दिलों में उल्फत नई नई है
अभी तकल्लुफ़ है गुफ्तुगू में अभी मोहब्बत नई नई है
बहार का आज पहला दिन है चलो चमन में टहल के आयें
फ़ज़ा में ख़ुश्बू नई नई है गुलों में रंगत नई नई है

जो ख़ानदानी रईस हैं वह मिज़ाज रखते हैं नर्म अपना
तुम्हारा लहजा बता रहा है तुम्हारी दौलत नई नई है
बमों की बरसात हो रही है पुराने जाँबाज़ सो रहे हैं
ग़ुलाम दुनिया को कर रहा है वह जिसकी ताक़त नई नई

ज़रा सा कुदरत ने क्या नवाज़ा कि आके बैठो हो पहली सफ में
अभी से उड़ने लगे हवा मे अभी तो शोहरत नई नई है
अभी न आयेगी नींद तुमको अभी न हमको सुकूँ मिलेगा
अभी तो धड़केगा दिल ज़ियादा अभी ये चाहत नई नई है

1 comment:

  1. Masha Allah
    Allah apko sehat or parvaaz ki bulandi de .
    Behad dil ko kchu Lene vale Sher hote apk.

    Mai asiya faiz kamili.
    Mai shabeena adeeb g or Mr rahat indori Sahab ki bhut Badi fan hu.
    Meri chahat h ki mai apko live sunu.
    Insha Allah

    ReplyDelete